Ye samay hai saath mil kar sochne ka ki ab kya, ab kaise, ab kahan.
Ye ek turning point hai jahan se hum sab ko marna hai ek naye raaste ki taraf. Dukh karne se rassta nahi dikhta andhere dikhte hain. Par agar hum iss dukh ko apni taakat bana lein toh rasste khul jaate hain aur asaan ho jaate hain.
Jo hua usse hum badal nahin sakte par usse inspire ho kar hum aise kadam uthayen ki hamari soch aur sharir dono ane vale samay ko sundar aur shaktimay bana sakte hain.
Main uss abhaya shakti ko pranaam karti hun jisne humein sahi path par chalne ki prerna di hai.
Hatash nahi hun, naraaz hoon main,
Anjaan nahin hun, hairaan hun main,
Ek naye path par chalne ko agrasar hun main
Jahan sirf roshni hai sachhayee ki
Andheron ki koi gunjaiish nahin yahaan.
Shakti ke saath raaston ko ujjvalit kar dun
Tum saath do toh andheron ko savera kar dun.
Yeh vada deti hun aaj abhi, ansun nahi
Angaarey ugalegi ye ankhein,
Har mor par har kadam par
Buraiyon ko nasht kar de
Aissi shakti main tumhare saath doondhungi.
Gudiya nahin hun main kali ka roop hun.
Apni takat main khud hun tumhe bhi dungi.
Ki galat kadam na tum uthao na main
Har waqt sach ka main saath dungi
Gudiya nahin main kali hun
Bure ko nasht karungi aur kabhi nahi rukungi.